Nach Genre filtern

Unhinged in Urdu

Unhinged in Urdu

Devvrat Mishra

I pick up shers from olden maestros and speak on it.

1 - Dil ke khus rakhne ko ye khayal accha hai
0:00 / 0:00
1x
  • 1 - Dil ke khus rakhne ko ye khayal accha hai

    Pata hai ki aage is raah pe dard k siva kuch nahi, ye insaan fir bhi usi jhooth k sahare barhna chahta hai. Us jannat ko paane k liye jo hai hi nahi, ye dil kuch to karna chahta hai.

    Ha yun hi chalte rahen dard ki virasat ko jante hue kyuki ye dil badi nikammi cheez hai, door ka dikhta nahi ise.

    Us khayal se lag k raat bhar sota hai ye dil kyuki,

    kyuki jo chain usne diya vo kisi sharab me nahi, to kya farq dard mil bhi jae be hisaab hi sahi.

    Us khayal k sahaare raate guzaari hain yun kaise mana kar de, us khayal ki taraf dekhte hue ghalib kehta hai

    ham ko ma.alūm hai jannat kī haqīqat lekin

    dil ke ḳhush rakhne ko 'ġhālib' ye ḳhayāl achchhā hai

    Wed, 25 Aug 2021 - 01min