Filtra per genere
- 14 - Ye baatein jhuti baatein hain- Ibn-e-Insha (Nazm)
Janaab Ibn-E-Insha ki behatreen Nazm... Alfaaz ke maani jaanne ke liye Rekhta par padh sakte hain, padhne ke liye is linkpar click karein...
Sun, 25 Sep 2022 - 05min - 13 - Udaas hai- Rang (Ghazal)
Ek puraani ghazal ke chand sher... Ummid hai, aap sunne waalon ki tabiyat ko pasand aaye... Mere Instagram par is podcast ya ghazal par feedback dene ke liye zarur judein handle @shayarikarang par...
Thu, 08 Sep 2022 - 03min - 12 - Tu bhi chup hai, Main bhi chup hun- Jaun Elia (Ghazal)
Kaafi waqt baad haazir hua hun toh socha usi shayar ke saath aaun jo alag alag daur mein dilon par huqoomat karta raha hai aur rahega...Hazrat Jaun Elia ki ghazal hai..
Rekhta ki website par Ma'ani ke saath padhne ke liye is linkpar click karein...Tue, 06 Sep 2022 - 04min - 11 - Aankhon Mein Raha- Bashir Badr
Patthar mujhe kehta hai mera chaahne wala
Main moam hun, us ne mujhe chhuu kar nahin dekha..Bashir Badr ki shayari, jitni saada, utni umdaa... Poori Ghazal padhne ke liye yahan click karein...
Wed, 30 Jun 2021 - 03min - 10 - Tera chup rehna- Tehzeeb Hafi
Urdu shayari ke sabse naye sitaare....Aise shayar jo buzurgon ki riwaayat aur naujawanon ki himaaqat dono apne naam ke mutaabiq tehzeeb se keh jaate hain...Janaab Tehzeeb Hafi ki popular ghazal.. Maani ke saath padhne ke liye yahan click karein..
Tue, 15 Jun 2021 - 04min - 9 - Kal Ki Raat- Rang (Nazm)Sun, 13 Jun 2021 - 01min
- 8 - Paanv Jab Ho Gaye Patthar- Tariq Qamar (Ghazal)
Pesh-E-Nazar hai, Janaab Tariq Qamar ki ek pasandeeda ghazal...
Sadaa- Aawaaz
Wazaahat- Explanation
Lafzon ke maani ke saath padhne ke liye, yahan click karein..Fri, 04 Jun 2021 - 03min - 7 - Inko Khala Mein Koi Nazar Aana Chahiye- Ameer Imam (Ghazal)
Toote khwaab, majboor karte hain ki ik harjaana wasoola jaaye... Aur dil ki kamobesh yahi maang rehti hai ki ye harjaana kisi aur ki maujoodgi se poora ho... Shayad isliye, toote khwaabon aur unse judi takleefon ki numaaish, insaan ko ye dilaasa deti hai ki koi dekh raha hai... Isi mauzoo par is Ghazal ka matla hai...
Lafzon ke maani sahit ye ghazal padhne ke liye yahan click karein..Sun, 30 May 2021 - 03min - 6 - Ye Gham Kya Dil ki Aadat hai? Nahin toh- Jaun Elia (Ghazal)
One of the finest Ghazals of Hazrat Jaun Elia... This Ghazal is a conversation where different questions are posed on the poet and the same answer covers all such questions... Wonderful in its conception and style...
Some key words-Wahshat- Frenzy/Fear
Hum aahangi- Rhyme/Sync
Darveshi- Monkhood/SaintlinessFri, 28 May 2021 - 04min - 5 - Dil Ajab Shahar Tha Khayaalon Ka- Meer Taqi Meer (Ghazal)Thu, 20 May 2021 - 03min
- 4 - Iraada- Rang
Shayar, aam taur par zyada sochne yaani "overthink" karne ki bimaari ke shikaar hote hain... Isi bimaari ki paidaaish hai ye nazm, jahan ek mulaqaat ke pehle soche gaye tamaam khyaalon ka mauzoo hai.... Ummid hai aapko pasand aayegi... Feedback dene ke liye, aap mujh se instargram par connect kar saktein hai... Handle hai @shayarikarang
Wed, 19 May 2021 - 04min - 3 - Meri Tanhai Badhaate Hain, Chale Jaate Hain- Ghazal- Abbas Tabish
One of the most underrated shayars of contemporary times, Janab Abbas Tabish touches life gently, gives you a nudge, and leaves without making a fuss. Here is one of his beautiful Ghazals... My favorite sher in this, is Kab Tumhein Ishq pe majboor kiya hai humne... Listen to check out the complete sher... Read complete Ghazal with meanings here.
Mon, 17 May 2021 - 02min - 2 - Sab ne Milaaye Hath- Gazal- Waseem Barelvi
Waseem Barelviis one of the finest poets in contemporary times whose nuances and experiments with the simplest of vocabulary leaves you smiling, crying, and rarely boasting... Ye jang ka ailaan bhi, tehzeeb se kiya karte hain... Here is one of his finest Ghazals as follows...
Sab ne milaaye haath yahan teergi ke saath
Kitna Bada Mazaak hua Roshni ke saath...
*Teergi- Andhera/Dark
Read complete Ghazal with meanings here
Sat, 15 May 2021 - 02min - 1 - Saza- Jaun Elia (Nazm)
Har baar mere saamne aati rahi ho tum,
Har baar tum se mil ke bichhadta raha hun main...
Jo Jaun ke jaanne waale hain, unke liye ye misre (lines) sirf kisi nazm ka nahin, zindagi ka hissa hain... Ek naakaam mohabbat ki yaad mein jhute kaseede padhne se behtar, Jaun zeher ugalte huye alvida kehne se nahin hichakta... Mere Dil ke kareeb nazm hai, ummid hai, aapka dil bhi chhu jaayegi...
A splendid Nazm by Jaun Elia which with brutal honesty reflects on the mental agony and harassment caused by two lovers to each other who are left with nothing beautiful or nostalgic to say to each other. Thus, the lover is adamant that his beloved has no right to love or grieve alone...
Fri, 14 May 2021 - 04min
Podcast simili a <nome>
- Global News Podcast BBC World Service
- El Partidazo de COPE COPE
- Herrera en COPE COPE
- The Dan Bongino Show Cumulus Podcast Network | Dan Bongino
- Es la Mañana de Federico esRadio
- La Noche de Dieter esRadio
- Hondelatte Raconte - Christophe Hondelatte Europe 1
- Affaires sensibles France Inter
- La rosa de los vientos OndaCero
- Más de uno OndaCero
- La Zanzara Radio 24
- Espacio en blanco Radio Nacional
- Les Grosses Têtes RTL
- L'Heure Du Crime RTL
- El Larguero SER Podcast
- Nadie Sabe Nada SER Podcast
- SER Historia SER Podcast
- Todo Concostrina SER Podcast
- 安住紳一郎の日曜天国 TBS RADIO
- TED Talks Daily TED
- The Tucker Carlson Show Tucker Carlson Network
- 辛坊治郎 ズーム そこまで言うか! ニッポン放送
- 飯田浩司のOK! Cozy up! Podcast ニッポン放送
- 武田鉄矢・今朝の三枚おろし 文化放送PodcastQR