Podcasts by Category

Poetry Shayari

Poetry Shayari

Voice of Hayat

This podcast is created to bring the best poetry collection composed by great URDU POETS to make you feel life more deeply. Spoken word poetry is poetry that cannot just be left alone on paper. It demands to be performed, to be shared with someone, and to fill the world with the verses of emotions. so don't miss to catch this up, every Saturday and Sunday :) warm regards, Voice of Hayat

3 - hamesha der kar detaa hun main by Muneer Niazi
0:00 / 0:00
1x
  • 3 - hamesha der kar detaa hun main by Muneer Niazi

    hamesha der kar detaa hun main har kaam karne meñ

    zarūrī baat kahni ho koī va.ada nibhānaa ho

    use āvaaz deni ho use vaapas bulānaa ho

    hamesha der kar detā hun main….

    madad karni ho us kii yaar kii Dhāras bañdhānaa ho

    bahut derīna rastoñ par kisi se milne jaanā ho

    hamesha der kar detaa hun maiñ ….

    badalte mausamoñ kii sair meñ dil ko lagānaa ho

    kisi ko yaad rakhnā ho kisi ko bhuul jaanā ho

    hamesha der kar detā hun maiñ ….

    kisi ko maut se pahle kisi ġham se bachānaa ho

    haqeeqat aur thii kuchh us ko jaaa ke ye batānaa ho

    hamesha der kar detaa huuñ maiñ har kaam karne meñ.....

    Mon, 08 Jun 2020 - 02min
  • 2 - Uss waqt agar tum aa jao! by Ajmad Islam Amjad

    Jab shab ke shakasta zeeno’n se mehtaab utaarney lagta hai

    Jab gham ke sard aalaoon main umeedain bhujey lagti hain

    Jab dil ke shoodeera samandar main awaazain marney lagteen hain

    Jab mosam haath nahi aaty, jab titli baat nahi karti

    Jab zinda rehna ik be-maani kaam dikhai daita he

    Jab aany waala har lamha dushnaam dikhai daita he

    Jab yaad ke gehray saannaaty main chehray ghum ho jaty hain

    Jab dard se bhojaal ankhoon main gaardaab se parny lagty hain

    Jab shammain ghum ho jateen hain, jab khuwab bikharny lagty hain

    Uss waqt agar tum aa jao

    Uss waqttt, agar tum aa jao

    Uss waqt agar tummm, a jao!!!

    Sun, 10 May 2020 - 01min
  • 1 - Mohabbat Ki Rangeeniyan Chhod Aaye by Habib Jalib

    The voice of the heart that has left the charming world with a really heavy heart by HABIB JALIB narrated in a heart-touching voice.

    Mohabbat Ki Rangeeniyan Chhod Aaye
    Tere Sheher Main Ik Jahan Chhod Aaye

    Wo sabzah, wo darya, wo pairoon kay saayae
    Wo geetoon bhaari bastiaan chood aaye

    Hasee’n paanghatoo’n ka wo chaandi saa paani
    Wo barkha ki rutt wo samaa’n chood aaye

    Bohat sy millay hum-safar rasty main
    Naheen yaad kisko kahan chood aaye

    Bohat Door Hum Aa Gaye Us Gali Se
    Bohat Door Wo Aastaan Chhod Aaye

    bohat meharbaan theen wo gull-posh rahain

    magar hum unhain meharbaan, chood aate

    Bhagolon ki surat main phirr rahy hain

    Nashaiman sar-e-gulastaan chood aaye

    Ye Aijaaz Hai Husn e Aawargi Ka
    Jahan Bhi Gaye Daastan Chhod Aaye

    Challay aaye un raah-guzaaroo’n sy Jalib
    Magar hum wahan qaalb-o-jaan chood aaye

    Mohabbat Ki Rangeeniyan Chhod Aaye
    Tere Sheher Main Ik Jahan Chhod Aaye

    Sat, 09 May 2020 - 02min